मेरे लिए मोदी, बाल ठाकरे, अमित शाह और उद्धव ठाकरे में कोई फर्क नहीं है: जिग्नेश मेवाणी

गुजरात में पाटीदारों के लिए आवाज उठाने वाले हार्दिक पटेल द्वारा शिवसेना के लिए प्रचार का एलान करने पर ऊना आन्दोलन की अगुवाई कर चुके जिग्नेश मेवाणी  ने अपनी प्रतिक्रिया दी है.

राष्ट्रीय दलित अधिकार मंच के गुजरात कंवीनर जिग्नेश मेवाणी ने आज कहा है कि शिवसेना के लिए प्रचार करने का मतलब भाजपा से लड़ने के लिए बनाए गए कॉमन मिनिमम प्रोग्राम को धक्का देना है. यह बात जिग्नेश ने अपनी फेसबुक वॉल पर लिखी है.

जिग्नेश ने आगे कहा कि हार्दिक के इस रवय्ये की वजह से मुझे बहुत दुःख पहुंचा है. मै इस कदम से आहत हूँ. मेरे लिए मोदी, बाल ठाकरे, अमित शाह और उद्धव ठाकरे में कोई फर्क नहीं है.

क्या लिखा है जिग्नेश ने 

Hardik Patel ke mamle me jaruri Safayi..

Sathio, Shiv sena ke sath hath milane ke bad ab to Hardik Patel se koi kya Ummeed rakhe?
Bhari vaicharik matbhed hone ke bavjud, jab Hardik ne kaha ki ab vah SC-ST-OBC ke aaraxan Ka virodh karne wala nahi aur Kanshiram Ji ki tarz par yah bhi kaha ki ” jitani jiski sankhya bhari utani ush ki bhagidari” tab laga ki chalo khud jakar Hardik se bat karte hai ki kya Aaraxan (Reservation) ke alava public interest ke dusre muddo par BJP ke samane morcha kholne ko taiyar hai kya? Yadi aisa hota hai to vah positive step mana jayenga…yahi possibility explore karne ke liye maine Hardik Ka Gujarat me vapasi ke dauran swagat kiya…yah swagat Maine Bhagat Sinh ki photo frame dekar ishliye kiya ki vah bar bar kah raha tha ki ” ish desh ke har ek yuva ke dil me vo Bhagat Sinh ki tasveer dekhana chahata hu”…tab muje laga ki ushe jakar kahu ki Bhagat Sinh jati-vyavstha ke khilaf the aur Bhagat Sinh Ka kahna tha ki ” Kranti se hamara matlab hai ki kishano aur majdooro ke hath me raj-satta”..
Kulmilakar, Maine ish ummed ke sath Hardik Ka swagat kiya ki vah pahle ki galtiya nahi karenga aur aaraxan ke alava bhi Gujarat ke vyapak jan-samuday ke hit me Sangh aur BJP ke samne morcha kholenga…Lekin Shiv sena ke sath hath milakar ushne common minimum programme par BJP samne ladne ki possibility ko bhi dhakka pahuncha diya hai…Hardik Patel ke ish ravaiye ki vajah se muje bahut dukh bhi pahucha hai aur me aahat hu…
Mere liye Modi aur Bal Thakare me aur Amit Shah aur Uddhav Thakare me koi antar nahi…. 
Mera prayas bilkul nakam sabit huva…
Ummed yah rakhta hu ki Hardik Patel jamkar Bhagat Sinh ko padh le, taki jald hi ushe apni prachand galati ka ahsas ho..
Rahi bat Dalit Bhai- bahno ki, tab me yah saf kar du ki Hardik ko Milne me vyaktigat rup se gaya tha, Dalit Samaj ko lekar nahi..Maine yah bhi kabhi nahi kaha ki Gujarat ke 47 lakh dalits ko Kal Hardik koi party khadi kare to vote dena chahiye, Maine yah bhi nahi kaha ki ham ushki aaraxan ni demand Ka samarthan kare, Maine koi chunavi gathbandhan bhi nahi kiya tha…

Yani, meri ish spastata ke bad bhi muje face book ya WhatsApp me koi galiya likhe to aap unhe maf kar dena…

Me criticism (aalochana) ke liye taiyar hu, Lekin mere intentions ( irado) par koi saval khade kare vah bilkul halat honga…

Jai Bhim, inquilab Zinchalo

 

बता दें कि बीते दिनों हार्दिक पटेल ने कहा था कि वह गोरेगांव से शिवसेना के उम्मीदवार के लिए बीएमसी चुनावों में प्रचार करूंगा. उन्होंने यह भी कहा कि वह ‘लाइक माइंडेड’ लोगों से जुड़ने की कोशिश कर रहे हैं. हार्दिक पटेल इससे पहले भी कह चुके हैं कि वह बाल ठाकरे को अपना आदर्श मानते हैं.